Shahid Afridi Biography
Source(google.com.pk)Afridi was born on 1 March 1980 in Khyber Agency of the Federally Administered Tribal Areas. His full name Sahibzada Mohammad Shahid Khan Afridi also known as Boom Boom Afridi is a Pakistani cricketer. Afridi is married to Nadia and has four daughters. Shahid Afridi is one the most populat cricketer in Pakistan both on the field and off. He is known for his aggressive batting style, and holds the record for the fastest ODI century which he made in his first international innings, as well as scoring 32 runs in a single over. Between 1996 and 2012, Afridi played 27 Tests, 350 One Day Internationals, and 59 Twenty20 Internationals (T20Is) for the Pakistani national team.
life of shahid afridi in urdu, history of shahid afridi in urdu, history of shahid afridi in hindi, career history of shahid afridi, shahid afridi biography in urdu, shahid afridi profile in urdu
Shahid Afridi Biography, Urdu
Shahid Afridi ka naam Pakistan ke behtareen all rounder mein aata hai. In ka poora naam Sahibzada Mohammad Shahid Khan Afridi hai aur 1 March 1980 ko Khyber Agency ke shehar Kohat mein paida huye. Shahid Afridi shadi shudah hain, in ki 4 betiyan hain, aik ka naam Aqsa aur doosri ka Ansha hai.
1996 mein cricket ki dunya mein qadam rakha. Shahid Khan Afridi ne is maidan mein qadam rakhte hi kamyabiyon aur kamraniyon ke naye baab raqam karna shuru kar diye. Afridi apni jarhana balee baazi ki badolat poori dunya mein pehchane jate hain aur isi badolat kayi record maslan sab se ziadah chakkon ka record, aur sab se behtareen stick rate ka record apne naam kar chukay hain.
shahid afridi
Aik sarve ke mutabiq Shahid Afridi is waqt Pakistan mein sab se maqbool cricketer hain. Vo qoumi aik rozah team ke captain hone ke sath sath T-Twenty moqablon mein bhi Pakistani ka farizah anjam dete hain. Shahid Afridi aik jarhana batsman hone ke sath sath leg break aur of break span bowling bhi karwate hain. vo qaidanah salahiyaton se mala maal hain, mushkil waqt mein team ka hoslah barhane ka art jante hain aur apni tamam khasoosyat ke sath aik phurtile fielder ke tor par bhi shohrat rakhte hain. vo ghalban dunya ke wahid spaner hain jo apne samne khare batman ki janib achanak bouncer pheink kar bhi usay pareshan kar sakte hain.
Shahid Afridi ka 16 salah cricket career shandar records se bhara para hai. Inhon ne Nairobi mein Sri Lanka ke khelaf apne doosre hi one day mein sirf 37 gendon par dunya ki tez tareen century banane ka aizaaz hasil kia. Is match mein unhone ne Sanath Jayasuriya ka record tora tha aur Sanath Jayasuriya ke hi aik over mein 28 runs bhi banaye the. Is century mein 11 chakkay aur 6 chokay shamil the. Isi match mein inhein one day ki tareekh ke sab se kam umer (yani 16 saal aur 217 din) century score ka aizaaz bhi naseeb hua. 2005 mein inhon ne sirf 45 balls par India ke khelaf century banayi thi jo keh dunya ki doosri tez tareen century thi. Yeh innings dekh kar hi commentator Ravi Shastri ne pehli dafah inhein Boom Boom Afridi ka khetab dia.
Shahid Afridi ko aik ball par 12 runs bananay ka bhi aizaaz hai. Yeh aizaaz inhein power play cricket mein buland aur taweel tareen chakka marne ke bais Millennium Stadium mein naseeb hua. Vo do martabah 18 gendon mein aur do martabah 20 gendon mein bhi nisf century score kar chukay hain. Aik martabh vo sirf 21 balls mein bhi nisf senctury ban chukay hain. Abu Dhabi mein Shahid Afridi ne Malinga Bandara ke aik over mein 32 runs bana kar dunya ka doosra menhga tareen over khenle ka record apne naam kar lia. Aik rozah match ki tareekh mein Shahid Afridi tisray cricketer jinhein baik waqt 6000, 100 catches aur 250 wikets lene ka aizaz hasil hai.
2 November 2010 ko Muttahida Arab Emirate mein hone wale aik Match mein apne career ka 353 wan chakka laga kar Shahid Afridi ne Sanath Jayasuriya ka aik aur record tora aur sab say zidah chakay marne wale khelari bhi ban gaye. Shahid Afridi T-Twenty matches mein bhi 53 wickets ke sath sab se ziadah wickets lene wale bowler qarar pay. Yeh wicket inhon ne 41 matches mein hasil kin. Shahid Afridi ab tak 27 test matches ki 48 innengs mein 36.51% ki osat se 1716 runs bana chukay hain jin mein in ka ziadah se ziadah score 156 raha hai. inhon ne ab tak 312 aik rozah match khelay hain aur 293 innengs mein 23.93% ki osat se 6583 runs banaye hain. Aik rozah moqablon mein in ka ziadah se ziadah score 124 runs hai jabkeh T-20 kay 42 moqablon mein inhon nay hissah lia aur in ki 40 innings mein 18.13% ki osat se 671 runs banaye. In moqablon mein in ka ziadah se ziadah score 54 (not out) hai. Shahid Afridi test matches mein 48 wicket hasil kar chukay hain jabkeh aik rozah matches mein 291 aur T-20 moqablon mein inhon ne 53 wickets hasil ki hain.
12 april, 2006 ko achanak inhon ne test cricket se retirement hone ka elan kia takeh vo apni poori tawajjah aik rozah cricket par de sakein buhat zidah cricket khelne ki wajah se in ka kar kardagi mein aksar farq dekhne ko milta hai. Aur isi wajah se inhon ne test cricket ko kheir baad kaha. Lekin kuch hi dinon baad 27 april 2006 ko inhon ne yeh faislah wapis lay lia. Is waqt Pakistan cricket board ke sadar Shehar Yaar Khan ne afridi ko test cricket mein wapsi par aamadah kia.
2010 mein dora England ke doran test cricket ko hamesha ke lie kheri baad kaha. 2011 ke world cup ke liye in ko Pakistani one day scoard ka captain moqarrar kia gia. Shahid Afridi ke naqadeen in par ilzam lagate hain ke in ki karkardagi mein thehrao nahi hai, vo aksar chakka marne ki koshish mein aik aise waqt par apni wicket ganwa baithte hain jab Pakistan ko chakee se ziadah Shahid Afridi ke crease par mojood rehne ki zaroorat hoti hai. Yahi wajah hai keh aik rozah cricket mein 6000 se ziadah runs banane wale Shahid Afridi ka fi match osat score 25 se bhi kam hai. Shahid Afridi ki aik khasoosyat yeh hai keh vo form mein hon ya out form, shayeqeen cricket ke dilon par raaj karna inhein har hal mein aata hai
No comments:
Post a Comment